Ehtelam ka ilaj

Assalam o Alikum Dosto kese hain ap sab.
Aj hum jis marz ke bare main bat karen ge woh hai kasrat e Ehtelam.


Ehtelam kia hai?, Kun Hota Hai?    

isi per aj bat hogi. 


Rat ko ya din main kisi time neend ki halat main lazat ke sath mada mani kharij ho to isko Ehtelam kehte hain.  

 Agar to mahine main 2 se 3 bar ho to koi pareshani ki bat nahi per agar is se ziada bar hone lage to yeh aik bimari ho sakti hai tab iska Ilaj zaroori hai.


Ehtelam ki Wajoohat


Tib main kasrat e Ehtelam ka marz jism main khushki / sardi ki waja se paida hota hai.


Ilaj

(1)  Har qisam Satawar, Asgand Nagori, Badhara, Khushk Dhanya, Misri har aik 6 gram, Tabasheer, Kabab Chini 3, 3 Gram Bareek pees lain sote waqt 6 masha doodh ke sath use karen.

(2)  Sipistan, Khashkhash, Post Khashkhash, Burada Sandal Safed har aik 3 tola sab ko bareek pees ker Safoof (Powder) bana lain. Rat ko 6 masha use karen pani ke sath.

(3)  1 tola safed zeera ka powder rat ko pani main bhigo den subah nehar munh pani nikal kar Safoof kha lain. 21 roz tak use karen In Sha Allah faida hoga.   

Related Posts

2 Comments

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. While reading the article, I could envision the writer sitting alone thinking.It's not only informative, but it keeps the reader's interest and it's just plain smart. I can tell that you worked very hard on this article. Thank you. what is ehtelam

    ReplyDelete

Post a Comment

Previous Post Next Post