Aphara | Pait main Gas bhar jana

Assalam o Alikum dosto, Aphara yani pait main gas bhar jana aur kharij na nona aik bahot hi takleef deh masla hai. Yeh aksar khane pine main be ahtyati ki waja se ho jata he. Hum aksar khane pine main be aytedali ka muzahira karte hain pait bhar ker khaa lete hain oper se cold drink bhi pi lete hain aysi surat main aphara ki shikayat paida ho sakti hai. Aj ki is post main hum aphara ke ilaj ke hawale se 3 asan aur mufeed desi nuskhe paish karen ge.

(1) Itrifal Zamani  ya Jawarish Kamuni ka chothai bara chamch, Saunf (Fennel) aur ajwain ka arq 2, 2 chamch ke sath subah aur rat ke khane ke bad. Iss ke ilawa khane ke bad 3 dane anjeer, asar ke waqt sone ke bad uth ker 1 chamcha Shehd, sote waqt 1 chamcha roghan zaitoon.

(2) Kalwanji 50 gram, Qust albahri 10 gram, soya ke phool 20 gram, Pees ker shehd main past bana lain adha chamch subah dupehr sham istemal karen.

(3) Hing (Asafoetida) Sondh (dry ginger) aur Jaiphal (Nutmeg) barabar wazan lekar safoof bana lain aur achi tarah mix kar den 500 ml subah, dupehr aur rat ko istemal karen.

Related Posts

1 Comments

  1. Your article is very beneficial and useful. Especially your prediction for stomach pain is great. Thanks for giving and share this article. Hope so you will again upload these beneficial article.
    pait mein gas ka ilaj

    ReplyDelete

Post a Comment

Previous Post Next Post